Friday, 29 April 2016

IMAAM JAFAR AL SADIQ A.S


Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Saadiq (Truthful), Faazil (Virtuous), Taahir (Pure).

Aap ki wilaadat 17 Rabi’ ul Awwal 83 Hijri (20 April 702 A.D.) ko Madeena me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Muhammad al-Baaqir bin Imaam Zainul aabideen Ali al-Aswat  rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Umme Farwah Fatima bint Hazrat Qaasim bin  Muhammad bin Abu Bakr Siddeeq rahmatullāhi alaihi hai.

Aap Husaini saadaat hain.

Aap ne apne daada Imaam Zainul aabideen aur waalid Imaam Muhammad al- Baaqir ke paas Qur’an aur Hadees aur Tafseer ki taalim haasil ki.
Aur Fiqh (Islamic jurisprudence), Falsafa (Philosophy), Ilm e kalaam (Theology), Ilm e riyaazi (Mathematics), Ilm e hai’at wa falak (Astronomy), Ilme tashreeh (Anatomy), Ilm e keemiya (Alchemy) aur dusre uloom me maahir hue.

Aap Masjid e Nabawi me taalim e deen karte the.

Aap ne Tijaarat (commerce), Miras [Wirasat] (inheritance) aur Zakaat aur dusre bahut saare masaa’il ke baare me hal bataaye.

114 Hijri (733 A.D.) me aap ke waalid ke inteqaal ke baad 31 baras ki umr me aap Imaam bane.

Aap Aa’imma e ahle bait ke chhathe (6th) Imaam hain.

Aap ka ilm, husn e akhlaaq, sakhaawat, saadgi aur ibaadat mash’hoor hai.

Ek din kisi shakhs ki deenaar ki thaili kho gai to us ne Hazrat Imaam Ja’afar Saadiq rahmatullāhi alaihi par shak karke iljaam lagaate hue kaha ‘Meri thaili aap hi ne churaai hai.’
Aap ne us se puchha ke ‘Us me kitni raqam thi?’
Us ne kaha ‘2000 deenaar.’
Aap ghar ke andar tashreef le gaye aur 2000 deenaar laakar use de diye.

Baad me jab us shakhs ko us ki khoi hui thaili kisi dusri jagah se mil gai. To us ne aakar pura qissa bayaan karke muafi maangi aur Aap se apni raqam waapas lene ki iltija ki. Magar aap ne farmaaya ke ‘Hum kisi ko dekar waapas nahi lete.’

Phir jab us ko logo se aap ka naam mubarak maaloom huwa to us ne behad nadaamat ka izhaar kiya.

Ek baar aap ne apne khaadim ko kisi kaam se bheja. Us ko waapas aane me bahot zyada der ho gai to aap us ko talaash karne ke liye nikle. Thodi door jaane par aap ne dekha ke wo khaadim ek maqaam par so raha hai aur use paseena ho raha hai. Aap use pankhe se hawa karne lage. Kuchh der baad jab wo jaaga aur Imaam ko pankha karte dekhkar sharminda hua. Aap ne us se kaha ‘Ghabhrao nahi. Magar ek baat yaad rakhna ki din ke waqt me kaam karna chaahiye aur raat ke waqt me sona chaahiye.’

Ek baar aap ne besh qeemati libaas pehna to ye dekhkar ek shakhs ne aap se kaha ‘Aye aale Rasool, Itna qeemati libaas Ahle bait ko zeba nahi. Aap ne uska haath pakadkar aastin ke andar me rakha to us ne dekha ki aap ne niche taat jaisa khurdara libaas pehna tha.
Aap ne farmaaya ‘Ye khalq ke liye hai aur wo khaaliq ke liye hai.’

Ek baar ek shakhs ne aap se puchha ‘Kya aap mujhe Rab ka deedaar kara sakte hain?’ Aap ne farmaaya ‘Tum sooraj ke saamne lagaatar dekhte raho.’
Wo kehne laga ‘Ye kaise mumkin hai?’ Aap ne farmaaya ‘Jab Rab ta’ala ki makhlooq Sooraj ko dekh nahi sakte to phir sab ke khaaliq ka deedar kaise kar sakoge.’

Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Agar namaaz padhne se hum gunaah aur bure kaamo se baaz aa jaayen to ye samjho ki hamari namaaz qubool ho rahi hai.

(2) Agar tum izzat chaahte ho to Narmi ikhtiyaar karo aur agar zaleel hona chaahte ho Sakht bano.

(3) Ghussa har burai ki jad hai. Ghussa aqlmand insaan ko bhi barbaad kar deta hai.

(4) 3 nek amal Dunya me aur aakhirat me faa’ida dete hain :
Jis ne tumhare saath bura kiya ho use maaf kar do, Jo tumhe chhod gaya hai use milte raho aur jab tumhare saath jahaalat bhara bartav kiya jaaye to sabr karo.

(5) Jo chala gaya hai (ganwa diya hai) us ke baare me lagaataar socha mat karo kyun ki us ke baare me sochna tumhare dimaag ko us (ke baare me sochne) se hata deta hai jo milne wala hai.

(6) Jo cheez ALLĀH ta’ala se hataakar dusri cheezon me mashgool kare un ko bagair kisi afsos ke tark karne ko Zohad kehte hain.

Tuesday, 19 April 2016

HAZRAT MOULA ALI (A.S) FULL HISTORY

Hazrat Ali al-Murtaza radi-Allāhu ta’ala anhu :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Murtaza, Maula e Kaainat, Faatih e Wilaayat, Wali e awwal, Baab-e-Madeenat-ul-ilm, Haidar, Ashja’un Naas, Asadullāhi fil gaalib.

Kunniyat : Abu Turaab.

**********
Aap ki wilaadat 13 Rajab (23 October 600 A.D.) ko hui.

Aap ke waalid ka naam Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib aur waalida ka naam Faatima bint Asad hai.

Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se ta’alluq rakhte hain.

Aap ki waalida haalat e hamal me Ka’abatullāh ka tawaaf kar rahi thi aur un ko dard e jaih shuru hua aur ALLĀH ta’ala ke hukm se wo Ka’aba shareef ke andar chali gai.
Is tarah aap ki wilaadat Ka’abatullāh ke andar hui.

Wilaadat ke baad aap ne aankhen nahi kholi aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam  tashreef laaye to Abu Taalib ne unhe aap ki god me diya to aap ne aankhen kholi ya’ni dunya me aane ke baad aap ne sab se pehle Huzoor Sarware kaainat  sallallāhu alaihi wasallam  ko dekha.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam  ne Abu Taalib se puchha ke ‘Is ka kuchh naam rakha?’ Unho ne kaha ke ‘Asad (lion) rakhne ka soch rahe hain. Aap ki kya raay hai?’ Huzoor ne farmaya ‘Is ka naam ‘Ali’ rakha jaaye.’

**********
Abdul Muttalib ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki parwarish ki zimmedari apne bete Abu Taalib ko di thi. Jab Huzoor ne bade hokar tijaarat karna shuru kiya aur aap ka nikah Hazrate Khdeeja radi-Allāhu ta’ala anhu se hua, aur Aap ne dekha ke chacha Abu Taalib ke haalat bure hain aur zyada aulad hone ki wajah se sab ki parwarish karna mushkil hai. Aap ne unke paas jaakar farmaya ke ‘Chacha, Aap par mere bahut ehsan hain aur main chahta hu ke aap apne kisi ek ladke ki zimmedari mujhe de den.’ Abu Taalib ne kaha ‘Kabhi bhi ehsan ki baat mat karna. Lekin tum jis ladke ko chaho apne saath le jaao.’
Aap Hazrat Ali ko apne saath le gaye aur is tarah bachpan se hi Hazrate Ali ki parwarish Huzoor ke saath aap ki nigrani me hui.

Ek roz jab Ali ghar me dakhil hue to dekha ke Hazrate Mohammad sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrate Khadeeja namaaz padh rahe the. Ali ne ye amal ka pehle kabhi nahi dekha tha. Jab dono ne salam fera to Ali ne puchha ke ‘Aap kya kar rahe the?’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ke ‘Main ALLĀH ka nabi bankar aaya hu aur tumhe bhi kalma padhkar Islaam apnane ki dawat de hu.’ Ali ne kaha ‘Main apne walidain se mashwara karke faisla karna chahta hu.’ Huzoor ne farmaya ‘Ali, Abhi ALLĀH ki taraf se Islaam ka aur nubuwwat ka elan karne ka hukm nahi hua. Is liye tum kisi se mashwara nahi kar sakte. Tumhe abhi hi tay karna hoga.’ Ali  ne kuchh der socha aur phir kaha ke ‘Main islaam apnaana chahta hu. Kyun ke maine hamesha aap ki har baat aur amal ko sacha dekha hai. Is liye mujhe yaqeen hai ke aap ALLĀH ke nabi hain.’
Is tarah aap 610 A.D. me 10 baras ki umr me musalman hue.
Aap bacho me sab se pehle Eimaan laaye.

**********
622 A.D. me jab ALLĀH ke hukm se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Makka se hijrat kar rahe the tab Hazrate Ali ko apne bistar par sone ke liye kaha aur Farmaya ke ‘Aye Ali, Ye kuchh amanate main tumhe dekar jaata hu. Subah ko tum un logo ko apni apni amanate dekar Yasrib (Madeena) aa jaana.’
Hazrat Ali itminaan se nabi ke bistar par lait gaye. Kyun ke aap ko yaqeen tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farma diya hai to Kal subah ko main sab ko amanate dekar Madeena khairiyat se pahunch jaaunga. Mujhe koi takleef nahi de sakega.

Is ke baad aap bhi Makka se hijrat karke Madeena shareef aa gaye.
Aap roz raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke makaan par pehra dete the.

***********
Aap Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke daamaad hain.
Zil Hijjah 2 Hijri (623 A.D.) me aap ka nikah Hazrate Faatima Zahra radi-Allāhu ta’ala anha ke saath hua.

***********
Aap panjatan me saamil hain.
Aap ashra e mubashara me se hain.

Aap Aimma e Ahle bait ke sab se pehle Imaam hain.

Aap Faatihe wilayat aur Wali e awwal hain ya’ni Ummate Mustafa me Auliya Allah ke silsile ki shuruat aap se hui.

Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa hain.
Aur aap ke 4 khalifa (Imaam Hasan, Imaam Husain, Khwaja Hasan Basri, Khwaja Kumail bin Ziyad radi-Allāhu ta’ala anhuma) se tareeqat ke tamam ‘Alwi’ silsile jaari hain.

***********
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya hai ke

(1) Jis ka main maula hu, Ali bhi us ka maula hai.
[10 Hijri (632 A.D.) me Hajjatul wida ke baad Khumm e Ghadir par]
(2) Aye ALLAH, tu us ko dost rakh jo Ali se dosti rakhe aur zaleel kar us ko jo Ali se dushmani rakhe.
(3) Ali se Mohabbat Eimaan ki nishaani he Aur Ali se Nafrat Nifaaq ki nishaani he
(4) Main ilm ka shaher hu aur Ali us ka darwaaza.
(5) Mere darbar me Ali ka martaba aisa hai jaisa Hazrate Moosā alaihis salaam ke darbar me Hazrate Hāroon alaihis salaam ka.
(6) Qayamat me Hazrate Ādam alaihis salaam apne bete Hazrate Sheesh alaihis salaam ke saath fakhr karenge aur main Ali ke saath.
(7) Aye Ali, Tum duniya me bhi sardaar ho aur aakhirat me bhi sardar ho.
(8) Agar log is qadar roze rakhen ke kamaan ki tarah tedhe ho jaaye,
Phir agar Ali se bughz rakhe to Dozakh me jaayenge.

************
Ek baar kisi ne aap se puchha ‘Aap ko Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se kitni Muhabat hai?’
Aap ne farmaaya ‘Khuda ki qasam! Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam se hame apne maal, aulaad aur waalidain se bhi ziyada muhabbat hai, Koi pyaasa jitna thande paani ko chahta hai hum is se bhi badhkar Aap sallallāhu alaihi wa sallam ko chahte hai.’

************
Aap ka laqab ‘Haidar’ ya’ni Sher e khuda hai.

Aap ka Ilm, Shuja’at, Saadgi, Sabr, Sakhaawat aur Husn e akhlaaq mashhoor hai.
Kai baar aap ke Ilm aur Shuja’at se Islaam ko faa'ida hua.

************
Aap ne Gazwa e Tabook ke ilaawa tamaam jang me apni shuja’at dikhai.
Aap ki talwar ‘Zulfikar’ mashhoor hai.

************
Jange Badr me Huzoor sallallāhu alaihi was allam ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali ibn Abi Taalib aur  Ubaida ibne Haris radi-Allāhu ta’ala anhuma ko Makka ke kaafiro ke muqable ke liye bheja.
Hazrate Hamza ne Shaiba ko qatl kiya aur Ubaida ke buri tarah jakhmi hone ke baad Utba ko bhi qatl kiya.
Aur Hazrate Ali ne Waleed ibn Utba ko qatl kiya. Aur phir jang me apni bahaaduri dikhaate hue aap ne bahot saare kaafiro ko qalt kiya.

*************
Jange Uhad me jab kuchh galti ki wajah se kaafir phir se musalmano par gaalib ho rahe the aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam bhi jakhmi ho gaye the tab Hazrat Ali jaldi se aap ki hifaazat ke liye aap ke paas pahunch gaye aur jab bhi kaafiro ka giroh Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki taraf hamla karne ke liye aage aata Ali lagatar badi bahaduri se usko door bhaga dete.
Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Ali ko apne seene se lagaate hue kaha ke ‘Aye Ali, Tum hamesha mere itne qareeb rahoge.’ Tab Hazrate Jibreel alaihis salaam ne kaha ‘Main bhi isi tarah aap ke saath rehna chaahta hu.’ Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Ali ko ye khushkhabari sunai.

*************
7 Hijri (May/June 628 A.D.) me Jang e Khaibar ke mauqe par jab musalmano ko Khaibar par fateh haasil nahi ho rahi thi tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ko bulaya aur Jab Hazrate Ali ne kaha ke unki aankho me shadeed dard hai to aap ne apna luaab e dahan (thoonk) un ki aankho me lagaya. Jis se foran Hazrate Ali ki sab takleef door ho gai aur itna hi nahi, Hazrate Ali farmaate hain ke Meri aankho ki roshni aur tez ho gai.
Phir Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ko Musalmano ke lashkar ke sardaar banaakar jang ke liye bheja. Jang ke dauraan Hazrate Ali ne Khaibar ke qile ka darwaaza todkar utha liya.
ALLĀH ta’ala ke fazl se musalmano ko fateh haasil hui.
Ashaaba farmaate hain ke baad me 25 ya zyada sahaaba ne saath milkar us darwaaze ko uthaane ki bahut koshish ki lekin phir bhi wo use hila bhi na paaye.

**********
20 Ramazan 8 Hijri (11 January 630 A.D.) me Fateh Makka me Makka par hamle ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne lashkar ke 4 giroh banaaye aur jin me se ek giroh ne Hazrat Ali al-Murtaza ibn Abu Taalib radi-Allāhu ta’ala anhu ki sardaari me Kudai ki jaanib se hamla kiya aur bagair koi muqaabale ke aage badhe aur Makka me daakhil hue.

**********
8 Hijri (January 630 A.D.) me Jang e Hunain me jab kaafir musalmano par gaalib ho gaye tab aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki hifaazat ki jab tak ki musalmano ne muttahid hokar phir se galba haasil kiya.

**********
9 Hijri (October 630 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam lashkar ke saath Jange Tabook ke liye gaye tab Hazrate Ali ko Madeena me apna Naa'ib banakar gaye.

**********
Ek baar jang ke dauraan aap ne ek yahudi ko zameen par gira diya aur us ke seene par baithkar us ka sar kalam karna chaha. Itne me wo yahudi ne aap ke chehre par thunk diya. Aap foran us ke seene par se neeche utar gaye aur niyyat karke namaaz padhne lage. Wo yahudi hairat se dekh raha tha.
Jab aap namaaz se faarig hue to yahudi ne puchha ‘Aye Ali, Tum mujh par gaalib ho gaye the aur phir tum ne mujhe chhod kyun diya?’
Aap ne farmaaya ke ‘Main sirf  ALLĀH ki raza ke liye tujhe qatl karne wala tha. Lekin jab tum ne mere chehre par thunka to mujhe gussa aaya. Is liye main tumhe chhodkar namaaz padhne laga. Taake nafs ka zor khatm ho jaaye aur tumhe qatl karne me meri nafsani khwahish saamil na ho.’
Ye sunkar wo yahudi aur us ke saathi musalman ho gaye.

**********
Aap namaaz khushu’ aur khuju’ ke saath is tarah padhte ke tamaam cheezo ko bhul jaate.
Jange Uhad me aap ke pair me teer chubh gaya aur jab bhi use nikalne ki koshish kai jaati aap ko bahut takleef hoti thi. Phir ye mashwara kiya gaya ke jab Hazrate Ali haalat e namaaz me khae ho tab is teer ko nikala jaaye.
Chunanche jab aap namaaz padhne me mashgool the tab jambur ke zariye aap ke pair me se us teer ko nikala gaya. Jakhm me se khoon jaari ho gaya lekin aap ko dard ka ehsas na hua.

***************
Aap farmaate hain ke
‘Main Jannat ke shauq me ibaadat nahi karta ki ye ibaadat nahi Tijaarat hai,
Main Dozakh ke khauf se ibaadat nahi karta ki ye ibaadat nahi Ghulami Hai,
Main ibaadat sirf is liye karta hu ki mera Rabb hi ibaadat ke qaabil hai.’

***************
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ko Yemen me Qaazi banakar bhejne ka faisla kiya to aap ne arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Mujhe Aap Qaazi banaakar bhej rahe hain, Halaanki main nau-umr hu aur mujhe faisle ka tajurba bhi nahi.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ki baat sunkar apna daste aqdas Hazrate Ali  ke seene par rakha aur Dua ki ‘ALLĀH ta’ala tumhari zabaan ko saabit rakhe aur tumhare dil ki raahnumai farmae.’
Is ke baad aap ki kaifiyat ye hui ki kabhi bhi do aadamiyo ke darmiyaan faisla karne me pareshaani nahi hui.

***************
Fateh makka ke baad jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Ka’aba shareef se buto ko nikal kar use paak kar rahe the tab aap ne Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ko apne kandho par lekar unche buto ko girane ke liye kaha.

Jab aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kandhe par the tab Huzoor ne puchha ke ‘Aye Ali, Upar dekhkar batao ke kya dekhte ho?’ Aap ne upar dekhkar kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Arsh e aazam tak dekh sakta hu.’ Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ke ‘Ab neeche dekhkar batao ke kya dekhte ho?’ Aap ne kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Tehatus sara tak dekh sakta hu.’

***************
Ek baar ek sahaabi ne Hazrat Ali se puchha ‘Aye Ali, Aap itni jaldi har sawaal ka jawaab kaise de dete hain?
Aap ne us se puchha ‘Tumhare haath me kitni ungliyan hain?’
Us ne jawab diya ‘5.’
Aap ne puchha ‘Itni jaldi jawab kaise diya?’
Sahabi ne kaha ‘Ye haath har waqt mere saamne rehta hai. Is liye mujhe ungliyan ginne ki zaroorat nahi.’

Aap ne farmaya ‘Isi tarah puri kaainaat bhi mere saamne hai. Mujhe sawaal ka jawaab dhoondhna nahi padta.’

**********************
Jab Hazrat Ali ne Masjid e Kufa ke mimbar par daawa kiya ke ‘Puchh lo jo kuchh puchhna chaahte ho, is se pehle ke main tumhare darmiyaan se chala jaaun.’ To ek shakhs utha aur us ne sawaal kiya ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jin ke kaan baahar hain wo bache dete hain aur jin ke kaan andar hain wo ande dete hain.’ Wo baith gaya.
Phir dusra shakhs utha aur us ne bhi yehi sawaal puchha ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jo bache ko doodh pilaate hain wo bache dete hain aur jo bache ko daana chugwaate hain wo ande dete hain.’
Phir teesra shakhs utha aur us ne bhi yehi sawaal puchha ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jo apni giza (khaana) ko chabaakar khaate hain wo bache dete hain aur Jo apni giza (khaana) ko nigal jaate hain wo ande dete hain.’

***************
Ek baar 4 shakhs Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ke paas aaye aur kaha ‘Ilm maal se behtar kyun hain? Hamara sawaal ek hi hai, Magar hum chahte hain ke aap sab ko is ka alag alag jawaab batayen.’
Aap ne sab ko alag alag jawaab dete hue farmaya ke
[1] Ilm behtar hai kyun ki maal kharch karne se kam hota hai aur ilm kharch karne se badhta hai.
[2] Ilm behtar hai kyun ki maal ki tumhe hifaazat karni padti hai aur ilm tumhari hifazat karta hai.
[3] Ilm behtar hai kyun ki ilm wale ke dost zyada hote hain aur maal wale ke dushman zyada hote hain.
[4] Ilm behtar hai kyun ki ilm Ambiya ki wiraasat hai aur maal Namrood, Fir’aun aur Qaroon ki wiraasat hai.

***************
(1) Ek baar Aap se kisi ne puchha ‘Kis tarah pata chale ke insaan par aane wali museebat saza hai ya aazmaish?’
Aap ne farmaya ‘Agar museebat insaan ko ALLĀH ta'ala se door kare to wo saza hai,
Aur agar museebat insaan ko ALLĀH ta’ala ke qareeb kare to wo aazmaish hai.’

(2) Ek baar kisi ne aap se puchha ke
‘Jab hamari qismat pehle se hi likh di gai hai to dua ka kya faida?’
To aap ne farmaya ke
‘Ho sakta hai ke qismat me yahi likha ho ke maangne par milega.’

(3) Ek baar kuchh ghair-muslim ne Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ke pass aakar 2 Sawaal puchhe :
[1] Wo kaun si cheez hai, jo hum dekhte hain lekin ALLĀH nahi dekhta?
[2] Qur’an majeed me har cheez (ka ilm) hai, Magar aisa kya hai jo is me nahi hai?
Aap ne jawaab diya :
[1] ALLĀH ‘Khwaab’ nahi dekhta, Kyun ke use na neend aati hai na oongh.
[2] Qur’an majeed me sab kuchh hai, Magar ‘Jhut’ nahi hai.

***************
Ek baar kisi ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko 300 deenar ka hadiya diya. Aap ne wo apni taraf se Hazrat Ali ko diye. Dusre din Hazrate Ali ne ek badkaar aurat ko us me se 100 deenar de diye. Logo me baaten hone lagi ki Ali ne galat aurat ko maal diya. Us ke baad aap ne ek chor ko 100 deenar de diye. Phir se logo me baaten hone lagi ki Ali ne galat shakhs ko maal diya. Uske baad aap ne ek ameer aadami ko 100 deenaar diye. Phir logo me baaten hone lagi ki Ali ne phir se galat shakhs ko maal de diya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko jab pata chala to aap ne farmaya ‘Intazar karo. Mumkin hai ki ALLĀH ta’ala Ali ki khairaat qubool farmae.’

Kuchh hi waqt baad us maal ki barkat se wo badkar aurat badkari chhodkar nek paarsa ban gai, chor bhi chori aur loot ka kaam chhodkar mehnat karne laga aur wo ameer shakhs pehle sirf apne liye maal jama karta tha ab apna maal khairaat karne laga.

***************
Ek baar Sayyeda Faatima radi-Allāhu ta’ala anha bahot beemar ho gai aur bistar se utarne ki bhi taaqat na rahi. Hazrte Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ne un se puchha ‘Aye Khatoone Jannat, Agar aap ki koi khwaahish ho ya koi cheez aap khaana chahti ho mujhe bataiye.’ Ye sunkar Sayyeda Faatima ne farmaya ‘Meri koi khaas khwaahish nahi. Magar aap mere liye koi cheez laana hi chahte hain to ek anaar lekar aaiye.’
Aap baazaar me gaye. Magar us waqt anaar ka mausam na hone ki wajah se kahi par bhi anaar na mila. Bahot talaash karne par ek shakhs ke paas ek anaar mila. Aap ne us ki qeemat dekar wo anaar kharid liya.
Jab aap ghar ki taraf waapas aa rahe the tab aap ne dekha ki ek maqaam par logo ki bahut bheed jama hui hai. Aap ne logo se puchha ‘Kya muamala hai? Ye sab log yaha par kyun jama hue hain?’ Logo ne bataya ki ‘Ek bahot beemar shakhs hai. Use anaar ki zaroorat hai. Magar kahi par anaar nahi mil raha hai. Ab aap aa gaye hain to in sha’ Allāh us ka kaam ho jaayega.’
Aap ne socha ki is aadami ko anaar ki zyada zaroorat hai. Aur aap ne apne haatho se us shakhs ko wo anaar khila diya. Wo shifayaab ho gaya aur aap ke liye dua ki ‘ALLĀH ta’ala aap ko is ka badla ata farmae aur aap ki pareshaani ko door farmae.’
Aap khaali haath apne ghar par tashreef laaye aur darwaaze par dastak di. Jab Sayyeda Faatima ne aakar darwaaza khola to aap ne puchha ‘Aap to itni beemaar thi ke bistar se uth nahi sakti thi to darwaze tak kaise tashreef laai?’ Sayyeda Faatima ne bataya ki ‘Jab aap gaye tab main bahot beemaar aur kamzor thi. Magar aap ne koi nek kaam kiya hoga jis ki barkat se ALLĀH ta’ala ne mujhe shifa aur taaqat ata farmai hai.’
Dono ke darmiyaan ye baaten ho rahi thi ki darwaaze par kisi ne dastak di. Puchha ‘Kaun hai?’ Aane wale ne bataya ‘Main Salmaan Faarsi hu.’ Darwaaza khola to Hazrate Salmaan Faarsi radi-Allāhu ta’ala anhu ne aap ko ek thaali di jis me 9 anaar the aur farmaya ‘Ye ALLĀH ta’ala ki taraf se aap ke liye in’aam hai. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne mujhe ise aap tak pahunchane ke liye bheja hai.’ Aap ne foran farmaya ‘Ye mere liye nahi hai.’ Hazrate Salmaan Faarsi ne wajah puchhi to aap ne farmaya ki ‘ALLĀH ta’ala farmaata hai ki tum ek neki karo main us ke badla [kam se kam] 10 ata farmaunga. Ye to sirf 9 hai. Is liye ye kisi aur ke liye honge.’
Hazrate Salmaan Faarsi ne foran ek anaar nikalkar diya aur farmaya ‘Yaqeenan aap ilm ka samundar hain. ALLĀH ta’ala ne aap ke liye 10 anaar hi bheje the magar maine aap ka imtihaan lene ke liye ek anaar chhupa diya tha.’

***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Duniya me raho magar duniya ko apne andar mat basao,
Kyun ki kashti jab tak paani ke upar rehti hai mehfooz hoti hai aur jab paani kashti me jaaye to woh doob jaati hai.

(2) Insaan duniya me is qadar mashgool hota hai ke use pata bhi nahi chalta ke
Jis kapde se us ka kafan banna hai wo bazaar me aa chuka hai.

(3) Bagair Ilm wa Zohad ke Ibaadat sirf jism ko thakaana hai.

(4) Agar koi shakhs tumhare zariye Hidaayat haasil kare
To ye tumhare liye har us cheez se behtar hai Jis par sooraj chamakta hai.

(5) Agar tum kisi ko chhota dekh rahe ho to
Tum use door se dekh rahe ho
ya phir guroor se dekh rahe ho.

(6) Aye Ibne Ādam,
Apne jism ko sanwaarne ki koshish me mat lage raho,
Ek din use mitti me mil jaana hai.
Sanwarna hai to apni Rooh ko sanwaro,
Use Rab ke paas jaana hai.

(7) Khubsurti kapdo se nahi Ilm aur Adab se hoti hai.

(8) Aqal jaisi koi daulat nahi aur jahaalat jaisi koi gurbat nahi. Adab jaisi koi meethasa nahi aur mashware jaisa koi madadgaar nahi.

(9) Aql ek aisi Khudaee ne’amat hai,
Jo Taaleem aur Tajurbe se badhti hai.
Aur jab Ilm badhta hai,
To Guftagu mukhtasar aur behtar ho jaati hai.

(10) Har cheez ka Sadqa hota hai.
Aql ka sadqa hai ke Jaahil ki baat sun kar bardasht kar lo,
Bin zaroori Bahes mat karo.

(11) Lafz insaan ke ghulaam hote hain magar sirf bolne se pehle tak,
Bolne ke baad insaan apne alfaaz ka ghulaam ban jaata hai.

(12) Tumhari niyyat ka imtihaan us waqt hota hai jab tum aise shakhs ko madad karo jis se tumhe badla milne ki ummeed na ho.

(13) Achhe logo ki sohbat se bhalai haasil hoti hai,
Jaise hawa jab Khushbudaar cheez ke paas se guzre to wo bhi khushbudaar ho jaati hai.

(14) Bura dost koyle ki tarah hota hai,
Jab garm hota hai to haath jala deta hai,
Aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.

(15) Insaan gham (dukh) nahi dete,
Insaan se waabasta ummeede gham deti hai.

(16) Log pyaar ke liye hote hain aur cheezen istamaal ke liye.
Par baat tab bigadti hai jab cheezon se pyaar kiya jaaye aur logo ko istemaal kiya jaaye.

(17) Achhe logon ki ek khoobi ye bhi hoti hai ke unhe yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jaate hain.

(18) Sacha rishta baarish ki tarah nahi hota,
Jo kuchh waqt ke liye aakar chali jaaye,
Balke Hawa ki tarah hota hai,
Jo na dikhe tab bhi hamesha mehsoos hoti hai.

(19) Sache dost ki pehchaan ye hai ke use khush nahi karna padta,
Wo khud hi tum se khush rehta hai.

(20) Sacha dost agar ruth bhi jaaye to use baar baar manao,
Kyun ki heeron ki maala toot kar bhi heeron ki hi rehti hai.

(21) Kabhi apne dost ka imtihaan mat lo
kya khabar us waqt wo majboor ho aur tum ek achcha dost ganva do.

(22) Fazool bahes behtareen dost se juda kar deti hai.

(23) Kisi se bhi na-raazgi ka lamha itna taweel mat karo ke wo tumhare bagair jeena sikh le.

(24) Rishto ki khubsurti ek dusre ki na-gawaar baat bardaasht karne me hai.
Agar be-aib insaan dhundhoge to akele reh jaaoge.

(25) Zindagi ke har mod par suleh karna sikho.
Kyun ki jhukta wo hi hai jis me jaan hoti hai,
Akadna to murde ki pehchaan hoti hai.

(26) Zindagi ki asli khubsurti ye nahi ke aap kitne khush ho
Balke zindagi ki asli khubsurti to ye hai ke dusre aap se kitne khush hain.

(27) Us chiraag ki tarah bano, jo ghareeb ki jhonpadi me bhi utni hi roshni deta hai jitni roshni ek baadshah ke mahal me deta hai.

(28) Khud ko paani ki tarah banao jo apna raasta banata rehta hai,
Us patthar ki tarah mat bano jo dusro ka raasta rok leta hai.

(29) Apni Zabaan ko Narm guftagu aur Salaam ka aadi banao.
Is se tumhare Dost zyada aur Dushman kam honge.

(30) Tabiyat ki narmi aur Sakhaawat insaan ko Dushmano ke dilon me bhi mehboob bana deti hai.

(31) Agar koi tum se bhalai ki ummeed rakhe to use maayoos mat karo,
Kisi ki zaroorat ka tum se waabasta hona tum par ALLĀH ka khaas karam hai.

(32) Kisi ka dil mat dukhao,
Kyun ke maafi maang lene ke bawajood use thoda sa bhi dukh zaroor rahega,
Jaise deewar me lagi keel ko nikalne ke baad nishaan reh jata hai.

(33) Kisi insaan ki khoobi ko pehchaano aur use bayaan karo,
Lekin agar kisi ki khaami pata chale to use bayaan na karna yehi tumhari khubi ka imtihaan hai.

(34) Hamesha dusro ke aib talaash karte rehne wale shakhs ki misaal us Makhi ki tarah hai jo pure jism ki khubsoorti ko chhod kar sirf jakhm wale hisse par baithti hai (gandagi pasand karti hai).

(305) Insaan ke Kirdaar ki 2 hi Manzilen hain :
Dil me utar jaana,
Ya phir dil se utar jaana.

(36) Logo ke dilo me apna maqaam is tarah bana lo ke mar jaao to tumhare liye dua karen aur zinda ho to tum se milne ki khwaahish rakhen.

(37) Zindagi ko zaroorat me rakho,
Khwaahishat ki taraf na le jaao.
Zaroorat faqeero ki bhi puri hoti hain,
Aur khwaahishat baadshaho ki bhi baaqi reh jaati hai.

(38) Jaha tak ho sake laalach se bacho, Laalach me Zillat hai zillat.

(39) Un parindo ki tarah bano jo ek ghunt paani peekar ALLAH ta’ala ka shukr ada karte hain.
Aur insaan itni saari ne’amate paakar bhi ALLĀH ta’ala ka shukr ada nahi karta.

(40) Sabr ek aisi sawaari hai jo tumhe girne nahi deti, na kisi ke qadmo me aur na kisi ki nazro me.

(41) Sabr karne wala apni kaamyaabi zaaya nahi karta zamaana chaahe kitna hi guzre.

(42) Be-sabri sabr se zyada takleef deti hai.
Raah wo pakdo jo bando ko Rab se mila deti hai.

(43) Hamesha zindagi is tarah basar karo ke dekhne wale tumhare Dard pe afsos ke bajay tumhare Sabr pe rashk kare.

(44) Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum bilkul tut chuke ho,
To yaqeen jaano tum ko kabhi koi nahi tod sakta.

(45) Dua darwaaze par dastak ki tarah hai.
Hamesha Dua mangte raho,
Kyun ki baar baar dastak se darwaaza khul hi jaata hai.

(46) Logo ko dua ke liye kaho us se behtar hai ke saath me aise amal bhi karo ke logo ke dilo se aap ke liye dua nikle.

(47) Khushi ke mauqe par kabhi Waada mat karo
Aur Ghusse ki haalat me kabhi Faisla mat karo.

(48) 3 insaan 3 cheezo se Mehroom reh jaate hain,
[1] Jhoot bolne wala Izzat se,
[2] Ghussa karne wala Durust faisle se,
[3] Jald-baazi karne wala Kaamyabi se.

(49) Jo zulm ke zariye shohrat (rutba) chahta hai,
ALLĀH ta’ala use Insaaf ke zariye zaleel karta hai.

(50) 3 Cheeze insaan ko ALLĀH se door karti hai :
[1] Apne Aamal ko zyada samajhna.
[2] Apne Gunaaho ko kam samajhna ya bhul jana.
[3] Khud ko sabse Behtar samajhna.

(51) Gunaah zeher jaisa hota hai,
Thoda ho ya zyada, Nuqsaan to karta hi hai.

(52) Sab se bada gunaah wo hai jo karne wale ki nazar me chhota hai.

(53) Insaan gunaaho ki wajah se jahannam me nahi jaata hai,
Balki un gunaho ki tauba na karne se jahannam me jaata hai.

(54) Agar ye yaqeen rakhte ho ke tumhara rizq ALLĀH ke paas hai to
Rizq ki nahi, ALLĀH ki talaash karo jis ke paas tumhara rizq hai.

(55) Jis ka raabta khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota, Naakaam wo hota hai Jiski umeeden duniya se waabasta hon.

(56) Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.

(57) Logo ke khauf se haq baat kehne se na rooko,
Kyun ke na to koi maut ko qareeb kar sakta hai
Aur na koi rizq ko door kar sakta hai.

(58) Be-waqoof aurat apne Shohar ko apna Ghulaam banati hai aur khud Ghulaam ki Biwi ban jaati hai. Aur aqlmand aurat apne Shohar ko Baadshah banaati hai aur khud Baadshaah ki Mallika ban jaati hai.

***************
Aap itni khairaat karte rehte the ke aap ko Zakaat dene ki zaroorat nahi padti thi.

***************
Ek baar ek aurat paani se bhara hua mashkija uthaakar jaa rahi thi. Bahot kamzor hone ki wajah se use bhaari mashkija lekar chalne me bahot pareshaani ho rahi thi. Hazrate Ali ne use rok kar wo mashkija khud utha liya aur us ke saath jaakar uske ghar par pahuncha diya. Raaste me uski baato se aap ko pata chala ke us ka shohar khaarji tha aur Hazarte Ali ke khilaaf jang me maara gaya tha aur uske bahot saare bache the aur wo dusro ke kaam karke guzara karti thi.
Dusre din aap khane ki bahot saari cheezen lekar us ke ghar ki taraf gaye. Raaste me kai logo ne us thele ko uthane ke liye kaha to aap ne farmaaya ke ‘Dunya me tum mera bojh utha loge magar qayamat me sab ko khud hi apna bojh uthana hoga.’
Jab aap us aurat ke ghar par pahunche to wo bahot khush hokar kehne lagi ‘ALLĀH ta’ala tumhe hamesha aabad rakhe.’
Phir aap ne kaha ‘Main tumhare liye khaana pakata hu ya agar tum khaana pakao to itni der main tumhare bacho ka khayaal rakhta hu.’
Us aurat ne kaha ‘Main khaana pakaati hu. Aap sirf choola jala do.’
Aap lakadiyo se choola jalane lage. Garmi ki wajah se aap ke chehre par paseena aane laga. Itne me pados me se ek shakhs aaya. Jab us ne ye dekha to kehne laga ‘Aye gustaakh aurat, Ameer-ul-mo’mineen ke saath aisi bad-sulooki karne ki tumhari himmat kaise hui?’
Ye sunkar us aurat ko haqeeqat ka pata chala aur sharminda hokar aap ke qadmo me gir gai.

*********************
Ek baar ek shakhs ne Hazrat Ali radi-Allāhu ta’ala anhu se arz ‘Huzoor, Main safar ke liye jaana chaahta hu magar raaste me jangli darindon ka khauf hai.’
Aap ne use ek angoothi dekar farmaaya, ‘Jab tere nazdeek koi khaufnaak jaanwar aaye to foran ye angoothi dikhakar keh dena ki yeh Ali ibne Abi Taalib ki angoothi hai.’
Un shaksh ne angoothi lekar safar shuru kiya. Ittefaaq se raah me ek jangli darinda us par hamla karne dauda.
Us ne foran angoothi dikhakar kaha ‘Aye Darinde!  Yeh dekh mere paas Ali ibne Abi Taalib ki angoothi hai.’
Darinde ne jab Hazrat Ali ki angoothi dekhi to apna sar aasmaan ki taraf uthaaya Aur phir waha se daudta hua door chala gaya.

***************
Ek baar Hazrat Ali radi-Allāhu ta’ala anhu se kisi ne kaha ki ‘Aye Ameer-ul-mo’mineen, Aap neeche zameen pe kyun baithe hain?’
Aap ne jawaab diya ‘Neeche baithne wala kabhi girta nahi.’

***************
11 Hijri (632 A.D.) me Sayyeda Faatima Zahra ke inteqaal ke baad aap Siyaasi muamalaat se door rehne lage aur kisi jang me bhi saamil nahi hue. Aap kheti aur baagbaani ka kaam karne lage. Aap ne bahot saare kuen banwaye. Jis me Masjide Zul-hulaifa ke qareeb ‘Abyaare Ali’ mashhoor hai.

Hazrate Umar Faarooq radi-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me aap un ke musheer rahe. Ameer ul mo’mineen Hazrate Umar Farooq mazhabi aur siyaashi masa’il me aap ka mashwara lete the.

***************
Aap 35 Hijri (656 A.D.) me Hazrate Usmaan Ghani radi-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Khalifa aur Ameer-ul-mo’mineen hue.

Marwan ibn Hakam aur us ke saathiyo ne Hazrate Usmaan Ghani ke qaatilo ke tamam saathiyo ko saza karne ka mutalba kiya. Aap ne is muamale ko gufto sunid aur mashwara karke suljhane ki guzarish ki.
Magar koi hal na mila aur musalmano ke 2 giroh ke bich 3 baar jang hui. Jise ‘Pehla Fitna’ kaha jaata hai.

109 din baad bhi unho ne Basra par ghera daala. Aur Jamaadil awwal 36 Hijri (7 November 656) dono lashkar ke bich jang hui. Jise ‘Jange Jamaal’ kaha jaata hai. Jis me Hazrat Ali ko fateh mili aur Marwan ko qaid kiya gaya. Baad me Hazrate Hasan aur Husain ki sifarish se riha kiya gaya. Jang me 10000 logo ki jaan gai.
3 din baad Hazrat Ali ne tamaam ka tajhiz aur tadfeen kiya.

Is ke baad Rajab 36 Hijri (January 657) me Aap ne darul hukoomat (capital) Kufa me tabdeel kiya. Aur Abdullāh ibn Abbas ko Basra ka governor muqarrar kiya.

Muawiyah aur un ke saathiyo ne Shaam walo ko Hazrat Ali ke khilaaf karna shuru kiya. Aap ne Bashir bin Amr bin Mahz Ansari, Saeed bin Qais Hamdani aur Shis bin Rabiee Tamini ko Muawiyah ke paas suleh ke liye bheja. Magar wo na maane. Aur 120000 ke lashkar ke saath Nehre Furaat (Euphrates) ke maidan me aaye. Zil Hijja 36 Hijri (May 657) ko Hazrat Ali bhi apne 80,000 ke lashkar ke saath waha pahunche. 110 din baad koi hal na mila to 8 Safar 37 Hijri (26 July 657 A.D.) ko dono lashkar ke bich jang hui, jo ‘Jange Siffin’ ke naam se mashhoor hai. Jis me Hazrat Ali ke lashkar ke 25000 shaheed hue aur Muawiyah ke lashkar ke 45000 log maare gaye.
Aakhir me phir se ye tay hua ki is muamale ko gufto sunid aur mashwara karke suljhaya jaaye. Aur 12 Safar 37 Hijri (30 July 657 A.D.) ko Hazrat Ali apne saathiyo ke saath Kufa waapas aaye.

Is ke baad aap ne pehle Abdullāh ibn Abbas aur Maalik al-Ashtar ko apna numa’inda banaya. Magar jab Banu Umayya ke logo ne aitraz kiya to Abu Musa Ash’ari ko bheja aur Muawiyah ki taraf se Amr ibn Aas ko bheja gaya.
Sh’abaan 37 Hijri (February 658) me Azruh me mulaaqat ke duaran us ne jab ye kaha ki ‘Kisi teesre shakhs ko hi Khalifa banaya jaaye.’ To Hazarte Ali ke saathiyo ne aitraz kiya.

Us ke baad Taqreeban 12000 logo ke giroh ye kehne laga ki ‘Hazrat Ali ne jang ko bich me rokkar galat kiya hai aur Abu Musa Ash’ari ko bhejne ka faisla bhi galat tha.’
Us waqt Hazrat Ali Nukhailah me the aur Muawiyah ke lashkar ke saath jangh ke liye Shaam ki taraf kooch kar rahe the. Is dauraan aap ko khabar mili ki Khaarjiyo ne Nahrawan ke governor Abdullāh ibn Khabbab ibn al-Aratt ko qatl kar diya hai aur us ki biwi ko maarkar us ke pet ko chirkar bache ko bhi maar daala aur Banu Tayyi ki 3 aurto ko aur Umm Sinan as-Saidawiyyah ko bhi qatl kar diya hai. Aap ne Haris ibn Murrah al-Abdi ko tehqeeqat ke liye Nahrawan bheja. Khaarjiyo ne unhe bhi qatl kar diya.
Is ke baad Hazrat Ali ne faisla kiya ki agar in baaghiyo ka muqabala karke sabak nahi sikhaya jaayega to shaayad ye Kufa par hamla kar den. Is liye aap apne lashkar ke saath Nehre Dajla (Tigris) paar karke Nahrawan pahunche.
Aap ne Abu Ayyub al-Ansari ko khaarjiyo ke paas bheja. Hazrat Abu Ayyub al-Ansari radi-Allāhu ta’ala anhu ne kaha ‘Jo Hazrat Ali ke saath aana chaahe wo aa sakta hai aur jo Kufa ya Madain jaana chaahta hai wo ja sakta hai.’
Is ke baad Farwah ibn Nawfal al-Ashja'I apne 500 saathiyo ke saath waha se chale gaye.
Magar 1800 khaarjiyo ke giroh ne Abdullāh ibn Wahab ki sardaari me jang karne ka faisla kiya. Un me bahot saare khaarji Hazrate Usmaan aur Hazrate Zubair ibn Awwam ke qatl me ki saazish me saamil the.
9 Safar 38 Hijri (658 A.D.) ko jang hui. Jis me Hazrat Ali ke lashkar me se 8 musalman shaheed hue aur Khaarjiyo me se taqreeban tamaam halaaq ho gaye aur jo 9 log bache wo Basra ki taraf bhaag gaye.

Is ke baad apne saathiyo ke saath Shaam ki taraf jaane se pehle aap ne Nukhailah me khaime daalkar aaraam kiya. Dusre din in musalsal jang ke haalat se thakkar koi jang ke liye aage jaane se raazi na hua. Aakhir me Hazrat Ali ne jang ke liye Shaam jaana mauqoof kar diya.

***************
Aap ki 7 biwiya aur 13 bete aur 2 betiya hain.

(1) Sayyeda Faatima Zahra binte Mohammadur Rasool-Allāh (sallallāhu alaihi wa sallam) radi-Allāhu ta’ala anha se
2 bete - Imaam Hasan aur Imaam Husain radi-Allāhu ta’ala anhuma
Aur 2 betiya - Zainab aur Umme Kulsoom radi-Allāhu ta’ala anhuma.

♦ Aap ne Hazrate Sayyeda Faatima radi-Allāhu ta’ala anha ki hayaat ke dauraan kisi dusri aurat se nikaah nahi kiya tha. Hazrate Faatima ke inteqaal ke baad hi aap ne dusre nikaah kiye.

(2) Umaama binte Zainab se
1 beta - Hilaal
(3) Umm-ul-Baneen Faatima binte Hizaam al-Qilabiyya se
4 bete - Abbas, Abdullāh, Jaafar, Usmaan
(4) Laila binte Mas’ood se
2 bete -Ubaidullāh, Abu Bakr
(5) Khawla binte Jaafar se
1 beta - Muhammad bin al-Hanafiya
(6) Sahb’ binte Rabiah se
1 beta – Umar
(7) Asma binte Umais se
2 bete - Yahya, Muhammad al-Asghar.

♦ Hazrate Ali al-Murtaza radi-Allāhu ta’ala anhu aur Sayyeda Faatima radi-Allāhu ta’ala anha ki aulaad ya’ni Imaame Hasan aur Imaame Husain radi-Allahu ta’ala anhuma ko ‘Aal e Rasool’ ka martaba mila hai aur Un ki aulaad ‘Saadaat’ kehlaati hai.

♦ Hazrat Ali ki dusri biwiyo ke saahabzaade aur un ki aulaad (nasl) ‘Awaan’ kehlate hain.

***************
19 Ramazaan 40 Hijri ki raat ko aap ke khwaab me Huzoor Ramhate aalam sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur puchha ‘Aye Ali, Kya haal hai?’ Aap ne farmayaa ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Aap ki ummat mujhe bahut pareshan kar rahi hai.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha ‘Kya chahte ho?’ Aap ne farmaya ‘Mujhe in se behtar logo me utha lijiye aur in ko mujh se badtar hakim ke hawaale kar dijiye.’
Jab aap ki aankh khuli to Fajr ki azaan ho rahi thi. Aap ne apne bete Hazrat Hasan al-Mujtaba ko jagaya aur dono namaaz ke kufa ki masjid ki taraf rawaana hue.
Jab masjid me pahunche to Abdul Rahmān ibne Muljim ne zehrili talwaar se aap ke sar par hamla kiya aur aap ko shaheed kar diya.
Aap ne farmaya ‘Main kaamyaab ho gaya.’

*****************
Aap ka wisaal 21 Ramazaan 40 Hijri (27 January 661 A.D.) ko 62 saal ki umr me hua.

Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radi-Allāhu ta’ala anhu ne padhai.

Aap ko pehle Kufa me dafn kiya gaya. Baad me Khaarjiyo ke zariye be-hurmati hone ke dar se Imaam Hasan al-Mujtaba ne raat ke waqt aap ke jism mubarak ko nikalkar mehfooz jagah dobara dafn karne ka iraada kiya. Wo aap ke jism mubarak ko ek sandook me rakha aur us sandook ko oontni ke upar rakhkar safar shuru kiya. Raaste me oontni thoda aage nikal gai aur ek maqaam par rook gai. Jab Imaam Hasan waha pahunche to unho ne Hazrat Ali ke jism mubarak ko wahi par dafn kiya.

Aap ka mazaar Najaf shareef, Iraq me hai.

*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Ali al-Murtaza radi-Allāhu ta’ala anhu aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Friday, 15 April 2016

SALAAM SHAAN E MUSTUFA S.A.W(LYRICS)

सरवरे आलम शाहे मदीना लेलो हमारा सलाम।

दिन मिला कुरआन मिला है
तुमसे या खेरुलअनाम
लेलो हमारा सलाम।

कायम करो तुम बेशक नमाज़े
ईमान का गुलसन फिर खिलेगा।
इशके नबी गर दिल में नहीं तो उनको खुदा भी ना मिलेगा।
जिक्रे नबी तू करता चलाजा जन्नत में होगा मकाम।
लेलो हमारा सलाम।

क्यों बेसहारा खुद को कहे हम
आका हमारे है सहारे।
रहमते आलम नूरे मुजस्सम प्यारे नबी है वो हमारे।
भेजी रहा है जिनपे खुदा भी बेशक दरुदो सलाम।
लेलो हमारा सलाम।
रोरो के दामन खुद ने भिगोये उम्मत का दामन भर दिए है
पेट पे पत्थर बांध लिए है फाके के फाके किये है।
सबके लिए जो रेहमत ही रेहमत उनका मोहम्मद है नाम।
लेलो हमारा सलाम।

जिनपे नबुव्वत खत्म हुई है वो हे नबी तो बस हमारा
सजदे किये है जिनको सजर ने कुरआन जिनपे है उतारा ।
जिनपे खुदा खुद सेहदा हुआ सरे नबीयो के वो है इमाम।
लेलो हमारा सलाम।

अपने मजीद को आका बुलालो ये इल्तेजा है बस हमारी।
आखो में आसू लेके तमन्ना उम्मत खड़ी है ये तुमहारी।
हम को अता हो जम जम का पयाला।
हम है तुम्हारे गुलाम।
लेलो हमारा सलाम।

Wednesday, 13 April 2016

Best Salam of Qarbala

http://www.mediafire.com/?i1m21koa24usa82

👆👆👆👆👆👆👆👆👆
Shaan e Qarbala
Qawwal : Sarfaraz Chisty

Sabhi Ko Khwaja ki 6th Mubarak Ho...

Charag E chist...
Shah e Aulia Garib Nawaj...
Bahat e Anjumne Mustufa(s.a.w)Garib Nawaj...
Suno suno Mere hajat rawah Garib nawaj...
Me de raha hu sada par sada Garib Nawaj.....

Monday, 11 April 2016

1) 104 mu urse mubarak ( qawwali dholka )

http://www.mediafire.com/?72maucohlmd9lqe

👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆
1) Allah mera sab ki bigdi to banata hai....
Qawwali is very nice....

Main to Rubaru Hai Yaar Najmuddin shah ke

http://www.mediafire.com/?1smkyz0zuv20oec

👆download now

Sunday, 10 April 2016

Hazrat Peer Saiyed Kabiruddin Kurf e Shikan (r.a)

Aap Hazrat Imaam Jafar sadiq a.s ke silsila mese hain...
👉 aap ka mubarak naam kabiruddin kurf e shikan rehmatullahi alayh hain....
aap hazrat peer saiyed kabiruddin kurf e shikan rehmatullahi alayh islaam fehlane ke liye hindustan aaye aur sab ko din e haq ki talim di aur sabko din ka sachcha rasta dikhaya...
👉 aap Ke Noorani chehra dekh kar sare log imaan Lay aate thain aur kalma padate the.aap ki ye karamat mashoor thi...
👉lahor se thodi dur uchh sharif pe aap ka  Mazar hain...
👉 peer kabiruddin kurf e shikan rehmatullahi alayh ko lahor main "HASANDARIYA“ naam Se Jane jate hain...
👉 aap ka roja aalishaan hain...
aap ke mazar main dusri bhi kabr mubarak hain...usme ek SABZ ALI ek AALADIN ek AULIYA ALI rehmatullahi alayh ki kabrmubarak hain vo aap ke hi ladke hain...
Aur TURAAB ALI rehmatullahi alayh jo aap unke Dadajaan hain unki bhi kabrmubarak Vahi par hain...

બાર ઇમામના મુબારક નામો

બાર ઇમામના મુબારક નામો
1) હઝરત ઇમામ અલી (અ.સ)
2) હઝરત ઇમામ હસન (અ.સ)
3) હઝરાત ઇમામ હુસેન (અ.સ)
4) હઝરત ઇમામ જૈનુલ આબેદીન (અ.સ)
5) હઝરત ઇમામ મોહમ્મદ બાકર (અ.સ)
6) હઝરત ઇમામ જાફરે સાદિક (અ.સ)
7) હઝરત ઇમામ મોહમ્મદ મુસએ કાઝીમ (અ.સ)
8) હઝરત ઇમામ અલી મુસએ રઝા (અ.સ)
9)હઝરત ઇમામ મોહમ્મદ તકી (અ.સ)
10)હઝરત ઇમામ અલીયુન નકી (અ.સ)
11) હઝરત ઇમામ હસન અશ્કરી (અ.સ)
12) હઝરત ઇમામ મોહમ્મદ મહેંદી સાહેબુઝઝમાન (અ.સ)

Hazrat peer Saiyed Meer Aalam shah Bava(r.a)

Address - chartoda kabrastan near,Ahmdabad

Hazrat peer saiyed DurweshAli rehmatullah alayh ( al huseni chistiya hanfi kadiwal masayakhi )

Hazrat Peer Saiyed DurweshAli(r.a)

Saturday, 9 April 2016

Hazrat peer saiyed Najmuddin Bava r.a


💐 સૈયદ પીર નજમુદ્દીન વલદે ફઝલેઅલી ચિશ્તી (ર.અ)

➡ નજમુદ્દીન બાવા (ર.અ) આગળ સિહ પર ગરદન ઝુકાવી દેતો...

👉 ઘરડા દુરવેશઅલીબાવા ના વખતમાં દુષ્કાળ પડ્યો હતો તે સમયે દુરવેશઅલી બાવાના કેટલાક મુરીદો બાવા પાસે આવ્યા અને કહ્યું બાવા આવા સમયમાં અમો શું કરીએ ?
તે વખતે બાવાએ જૂનાગઢ પાસેના વિસ્તારમાં વસવાટ કરવાનું કહ્યું મુરીદો જૂનાગઢ ગીરના જંગલ પાસે ગામમાં રહી પોતાનું ગુજરાન ચલાવવા લાગ્યા.

કેટલાક વર્ષો પછી નજમુદ્દીનબાવા પોતાના મુરીદોને મળવા સૌરાષ્ટ્ર કચ્છમાં ગયા.
કારણકે મુરીદોએ બાવાને પોતાને ત્યાં આવવા ઘણો આગ્રહ કર્યો હતો.જુનાગઢ પાસેના ગીરના ગામના મુરીદોને જયારે ખબર પડી કે બાવા જુનાગઢ આવ્યા છે ત્યારે તેઓ બાવા પાસે આવ્યા અને તેમને પોતાની ફરિયાદ કરી કે અમારા ગામ માં સિહ આવે છે અને ઢોરને મારી નાખી લઈ જાય છે. મુરીદોને બાવાએ કહ્યું હું કાલે તમારા ગામ માં આવીશ અને સિહ જે રસ્તા થી પાણી પીવા આવે છે ત્યાં ખાટલો પાથરજો મુરીદોએ ઘણી આનાકાની કરી પરન્તુ બાવા ના મક્કમતા આગળ તેઓ લાચાર હતા.બીજા દિવસે સિહ પાણી પીવા આવ્યો.ખાટલા ઉપર નજમુદ્દીન બાવા ર.અ ને તાકીતાકી ને જોવા લાગ્યો.અંતે બાવા ના પગ પાસે આવીને બેસી ગયો.તે વખતે બાવા ને કહ્યું કે ભાઈ આજ પછી તું મારા મુરીદો ને પરેશાન કરીશ નહિ.તે દિવસ થી સિહે એક પણ ઢોરને નુકશાન કે ઈજા પહોચાડી નથી.હઝરત અલી શેરે ખુદા થી માંડી તેમની આલ ઔલાદમાં આટલી કરામત છે કે જંગલી હિંસક સિહ પણ પોતાની હિંસા છોડી તેમના સેવક બની જાય છે.

સુબહાનઅલ્લાહ આ છે મારા પીર નજમુદ્દીન સરકાર ની કરામત....

HAZRAT PEER SAIYED MOHAMMAD MASAYKH R.A

💓 પીર સૈય્યદ મુહમ્મદ મશાયખ બાવા  (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) 💓

👉 પીર સૈય્યદ મશાયખ બાવા  (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ)ની હવા ઉપર નમાજ પડવી...

👉 મુગલ બાદશાહ ઔરંગઝેબે પીર મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) દિલહી બોલાવ્યા હતા.ત્યાં તેમની કસોટી કરવા માંડી.
મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ)ને જણાવવા માં આવ્યું કે તમે હવા ઉપર નમાજ પડી બતાઓ.તો તરત જ મશાયખ બાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) વુજુ કરી કુવા ઉપર મધ્યમાં હવા પર બે રકાત નમાજ પડી.

👉 આમ મશાયખ બાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) કરામત ના જોડે દરેક કસોટી માંથી પાર ઉતર્યા.અને ઔરંગઝેબે કસોટી કરવા નું માંડી વાર્યું અને ગુજરાત માં ઈજ્જત સાથે રવાના કર્યા અને અમદાવાદ ના ચારતોડા કબ્રસ્તાન નજીક જમીન ભેટ આપી...
તે જમીન પર હાલ પણ તેમનો મઝાર છે.

HAZRAT PEER SAIYED MUHAMMAD MASAYKH CHISTY R.A


💘 પીર સૈય્યદ મુહમ્મદ મશાયખ બાવા  (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ)💘

👉 કડીવાલા ફાજલશાહ બાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ)ના બીજા એક દીકરા કે જેમનું નામ
પીર મશાયખ બાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) છે કે જે બાલાપીર બાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) ના ભાઈ થાય. તેમનો મઝાર અમદાવાદ ના સારંગપુર પુલ ના છેડે ચારતોડા કબ્રસ્તાન પાસે આવેલો છે.

👉 જેઓ મુગલ બાદશાહ ઔરંગઝેબ ના સમય માં થઇ ગયા. મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) ની કરામતો પણ મશહૂર છે.
👉 જયારે એક વખતે મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) પોતાની પાસે ચિરાગ જલાવી ખુદા ની ઈબાદત ખુલ્લા મૈદાનમાં કરતા હતા. તેવામાં ખુબ પવન સાથે વવાજોડું ફૂંકાયું.લોકો ના ઘરના દિવા બુઝાય ગયા.લોકો બહાર ઉમટી આવ્યા અને જોયું કે મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) ચિરાગની રોશની થી મૈદાન માં ખુદા ની ઈબાદત કરી રહ્યા છે.ચિરાગ જલતો રહ્યો છે.આ જોઈ લોકો અચંબા માં પડી ગયા.અને મનોમન વિચારવા લાગ્યા કે આ મશાયખબાવા (રેહમાતુલ્લાહ અલેહ) ની કરામત છે.

👉 કોઈ શાયરે ખુબ કહ્યું છે કે...
फानूस बनके जिसकी हिफाज़त खुदा करे।
वो शमआ क्या बुजे जिसे रोशन खुदा करे।