Saturday, 4 June 2016

{lyrics} charag e chist shah e aulia garib nawaj

Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Mujko Nahi hai Khoof Sawalo Jawab ka...
mere Labo Pe Naam hai Aali janab ka...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Kya puchte ho muj se kis par fida huva hu...
jo Hind ke Sulta Us ka hi me Gada hu...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

meri madad ke liye aa gaye Moinuddin...
Juba se jab meri nikla ke Ya Garib Nawaj...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Tumhare Dar pe hazaro Garib palte hai...
Garib me bhi hu palo muje Garib Nawaj...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Me Pulsiraat se Gujru to is tarah gujru...
idhar Farid Khade ho Udhar Garib Nawaj...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Garib Janke har ek ne mujko taal diya,
Tum apne dar se naa taalo muje Garib Nawaj...
Charag e Chist Shah e Aulia Garib Nawaj...
Mere Huzur Mere Peshwa Garib Nawaj...

Monday, 23 May 2016

Hajrat Pir Saiyed Imamshah Bava rehmatullah alayh


Aap SAIYED PIR HASSAN KABIRUDDIN K SABSE CHOTE BETE HAI AAP K 17 BHAI HAI AAP K BADE BHAI ME SE EK SAKHI SAHBAZ QALANDAR BHI HAI
Aap 27 Mahe RABI-AL-AAkhir HIJRI 856 UCHSARIF PUNJABPAKISTAN ME HUAI
AUR
FIR APKO APKI WALIDA NE APE WALID KI GAUD ME DIYA AUR APKE WALID HAZRAT PIR SAIYYED HASSAN KABIRUDDIN KUFR E SIKAN NE FARMAYA KE ""MERA BETA ZAMANE KA ""KUTUB"" HOGA""
APKO APKE WALID HASSAN KABIRUDDIN NE HI APKO GUJARAT RAWANA KIYA,AUR KAHA DUNIYA ME SACH FELAO
JAB APKE WALID DUNIYA SE PARDA FARMA GAYE TAB AAP UCH SE BAHUT DUR THE
JAB APKE WALID KA JANAZA LE JAYA JA RAHA THA TAB AAP RUHANI KARAMT SE WAHA AA PAUCHE AUR APNE WALID SE RUHANI NEMAT LI APKO HASSAN KABIRUDDIN NE JANAZE ME BAHAR HATH NIKAL KAR TASBIH ATA KI AUR KAHA AAP SAIYYDENA IMAM JAFAR AL SADIQ KE PAS AUR NEMAT LE LENA,
FIR AAP WAHA SE IMAMSHAH BAWA MADINA KI ZIYARAT KO GAYE
FIR GUJARAT ME AA KAR RAH E HAQ KI DAWAT DI AUR HAZARO LOGO NE APKI RAH E HAQ ISLAM KI DAWAT KUBUL KI...

Sunday, 22 May 2016

Hajrat Peer Masaykh shah(r.a){Naat Sarif}

जलवा मशायख पीरका
बज रहा है हर तरफ डंका मशायख पीरका
पीर है पीरोके, क्या कहना, मशायख पीरका।

एक जमाना क्यू न हो शयदा मशायख पीरका
हय बडी इज्जत बडा रूतबा मशायख पीरका।

सरमे  सवदा अपका, दिलमे मोहब्बत आपकी
हो गया हू दिलसे में शयदा मशायख पीरका।

मिस्ले मेहरो माह रवशन हय करामत अपकी
नुर हे चारो तरफ फैला मशायख पीरका।

अच्छे अच्छोने जूकाए अपने सर सरकारमे
अल्लाह। अल्लाह। रोअब हे एसा मशायख पीरका।

मालो जरकी क्या हकीकत जानो दिल कूरबा करू
काश आ जाये नजर जलवा मशायख पीरका।

क्यू न मेरे हालपर  खालिकका हो फ़जलो करम
चाहने वाला हू मे किसका? मशायख पीरका।

दिल बहलटाही नही हे, सूरतमे "राज" का,
जबसे रोजा देखकर आया मशायख पीरका।

Friday, 20 May 2016

{SUFI KALAM} BEKHUD KIYE DETE HAI

Maine masoom baharon mein tumhein dekha hai
Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai

Mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam
Maine ashqon ki kataron mein tumhein dekha hai

Jod lagte gaye fasane mein
Raaz khulte gaye chhupane mein
Roothne ka sabab to tum jaano
Hum to masroof hain manane mein

Tune tinke samajh ke phoonk diya
Meri duniya thi aashiyane mein

Mujhe shikwa nahi barbaad rakh barbaad rehne de
Magar lillah mere dil mein apni yaad rehne de

Bekhud kiye dete hain andaz hijabana
Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa e janana

Kya meri baat ka yakin nahin
Koi bhi aap sa hasin nahin
Be jhijhak dil mein tum chale aao
Is makan mein koi makeen nahin

Ae sarwe nazreen man az man che deedayi
Ik baar keh de az man e miskeen mureedayi

Tujhsa hasin nahin nahi teri misaal hai
Tere jamaal ain khuda ka jamaal hai

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi
Ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana

Maine ke be amal hun
Lekin hun toh aap ka

Ab rukh na chhupana
Karke mujhe deewana

Jis ja nazar aate ho sajde wahin karta hoon
Isse nahin kuch matlab kaaba ho ya butkhana

Maanun ki hakikat ho tak mere janaze ki
Tu shamma bane saaki main ban jaun parwana

Jee chahta hai tohfe mein de dun unhein do aankhein
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana

Saturday, 14 May 2016

{ANDROID APP} AL HUSENI CHISTIYA

http://www.mediafire.com/?aexsehcwk5h9azo

{Lyrics} AAO MERE NABI KI SHAAN SUNO

Aao mere Nabi ki shaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Habib Pyaara nazar uthaye
Ho Maula Qibla badal de
Kahi Ye chahat kahi yeh kehna
Aye Moosa aana sambhal ke
Khuda hai in pe meher baan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi ka sajda hua hai lamba
Hussain pusht pe baithe
Tere nawase ke jin Ke jorre
Khuda ne Khuld se bheje
Hai Jibraeel bhi darban suno
Nabi hai bolta Quran suno

Namaze di thi pachas Rab ne
Nabi ne panch karayi
Hai dekho kitna khayal ummat
Nabi ne baat banayi
Wahi hai Arsh ka mehmaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi ke aashiq Bilal e Habashi
Hai jin ke Arsh pe charche
Bilal Jab bhi Aazan dete
Sahaba ishq me rote
Bilal e Habshi ki Aazan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi Ke azmat pe pehra dena
Raza ne hum ko sikhaya
Nabi ka dushman hai apna dushman
Raza ne hum ko bataya
Raza e Ishq ki pehchan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Husaini jazba ubharta Hai
Ali ke naam ka naara
Yazidiyo ko pacharta hai
Ali ke naam ka naara
Ali hai Mustafa ki Shaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi Ke nazre rahe Ujager
Isi se apna guzara
Nabi ka saya rahe salamat
Yahi hai apna sahara
Nabi ke kitna hai ehsaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Friday, 13 May 2016

{Lyrics} kursi par koi bhi baithe raja toh mera khwaja hai...[Best Naat]

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Saare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Haidar ka ladala hai
Woh Zahra ka laal hai
Beshak mera Moin
Muhammad ki aal hai

Deewanon ko kis baat ka
Akhir malaal hai
Khwaja ko apni praja ka
Pura khayal hai
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Har ankh chahti hai
Ziyarat Moin ki
Har dil me bas gayi hai
Mohabbat Moin ki
Iss Sarzamin e Hind ke
Shahon ne keh diya
Mehshar tak rahegi
Chahat Moin ki
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Ham garibon ki sadaon
Ne bulaya hai tujhe
Hind ka shah Muhammad ne
Banaya hai tuje
Kaise aayega koi
Harf hukumat pe teri
Panjatan paak ne kursi par
Bithaya hai tuje
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Pyaara hai Hasnain ka
Beshak Nabi ki aal hai
Sanjar wala peer mera
Saiyyada ka laal hai
Mast hai mastan hai
Har haal mai khushal
Chishtiya daaman ko joh pakda
Woh maalamaal hai
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Tu bardabar ki thokare
Ik baar khake dekh
Milta hai kya kisi se
Zaraa aazmake dekh
Tu jin se mil raha hai
Yeh saare ghulam hai
Raja ko dekhna hai
Toh Ajmer jaake dekh
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja

Dar e Khwaja pe sawali ko
Khada rehne do
Sar nadamat se juka hai
Toh juka rehne do
Mujko mil jaaye ga sadka
Mai chala jaunga
Kasa e Dil mera kadmo me
Pada rehne do
Khud hi farmayenge mujrim pe
Woh rehmat ki nazar
Mujko Khwaja ki adalat me
Pada rehne do
Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe
Raja toh mera Khwaja hai
Sare hind ka hai raja
Mera Khwaja Maharaja